aag hai lagii hu_ii ( aag hai lagii hu_ii har taraf yahaa.N wahaa.N jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N ) -2 aag hai lagii hu_ii dil kyaa hai kaa.Nch kaa khilaunaa hai sapn ek salonaa hai ( dil ba.Daa naazuk hai ye TuuT naa jaaye kahii.n khelate hai.n dil se jo ye Kabar unako nahii.n ) -2 dil gayaa to kyaa rahaa dil ke saath hai jahaa.N jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N aag hai lagii hu_ii chiiz kyaa hai pyaar ye ik dawaa hai yaar ye ye dawaa kabhii kabhi Gam kaa jaam ban ga_ii zi.ndagii kii har subah ek shaam ban ga_ii roshanii chalii ga_ii roshanii chalii ga_ii rah gayaa dhu_aa.N dhu_aa.N jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N Dor TuuT jaatii hai jo.De gaa.NTh aatii hai ( shaadii aur byaah hai rishtaa aitabaar kaa saat janam ke waaste ek waadaa pyaar kaa ) -2 ek pal me.n ho gaye ek pal me.n ho gaye phir bhii log badagumaa.N jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N ( aag hai lagii hu_ii har taraf yahaa.N wahaa.N jal rahii hai ye zamii.n jal rahaa hai aasamaa.N ) -2 |