Mobile ki mahima
Posted:
26/09/2007 15:49:12 |
|
jub se mobile ka jamana aya hai
love letters ka to jase safaya hai
koi nahi likhta 8 page
sidha saadha message
chalti hai kya 9 se 12
ladki deti hai turant reply
tu tikat kharid mai ayi
mia bibi k bich khel or bhi tagda hota hai
sms par prem or sms pe jagda hota hai
mobile mai jabardast dwand hai
galiya bak rahe hai lakin baat-chit band hai
mia bibi k bich network hamesha bussy rahta hai
kyuki sms per jagda easy rahta hai
mobile gajab sitam dhaa raha hai
Beta baap ko girlfriend k sms padha raha hai
ajib se chamatkaar ho rahe hai
humare bacche humare cavourege aria se bahar ho rahe hai
hum unme sanskaro k signel search kar rahe hai
Or vo zindgi ka prepaid karch kar rahe hai.